khali ghar
khirki se aati halki dhoop,
farss se yeh poochti hai
batao iss ghar main kaun rehta hai,
hawa yahan ki mayush kyon hai,
darvaja baand kyon hardum rehta hai.
na paerron ki dhum dhum hai,
na chulhe per paakti khaane ki khoosbo,
deewaron ke raang sooni sooni si laagti hai
tera chehra dhoolit kyon rehta hai
bato na, iss ghar ke faars,
ki iss ghaar main kaun rehta hai.
main roj aati hi uss toote sishe se,
khirki ki simaaon ko kood ker,
na koi nye padh-chinn dekhey,
na hi koi samaan dikhha, para khinn yahan,
na koi jhaankar yahan, na aawaz na kinkri,
woh toota bulb hamesha kyon rota hai.
gumsum na rho yun faars,batao na,
iss sunsan ghar main kaun rehta hai.
