khali ghar


khirki se aati halki dhoop,

farss se yeh poochti hai

batao iss ghar main kaun rehta hai,

hawa yahan ki mayush kyon hai,

darvaja baand kyon hardum rehta hai.


na paerron ki dhum dhum hai,

na chulhe per paakti khaane ki khoosbo,

deewaron ke raang sooni sooni si laagti hai

tera chehra dhoolit kyon rehta hai

bato na, iss ghar ke faars,

ki iss ghaar main kaun rehta hai.


main roj aati hi uss toote sishe se,

khirki ki simaaon ko kood ker,

na koi nye padh-chinn dekhey,

na hi koi samaan dikhha, para khinn yahan,

na koi jhaankar yahan, na aawaz na kinkri,

woh toota bulb hamesha kyon rota hai.

gumsum na rho yun faars,batao na,

iss sunsan ghar main kaun rehta hai.




येह जी चाहता है

हवाओं के उडते पंख लगा चुपके से
अनजाने जहाँ में , कहीं उड़ जाने को जी चाहता है
कभी काली-बेरुखी ईटों की चद्दर ओढकर ;
ज़मीन-ए-ख़ाक में, कहीं खो जाने को जी चाहता है
यूँ तो कट रही शान -ए-जिंदगी मजे में;
बत्तियां बूझा , दरवाजा बंद कर, रोने को जी चाहता है
दफ्तर में जायज़ -नाजायज़ काम है कई इद्द्हर-ऊद्द्हर;
टेबल पर पेर रख, कुर्सी पर सो जाने को जी चाहता है
ऐसे पर्डी नही कभी कम्बख्त नशे की आदत कभी
नशीले भांग पी, धातुरे फूकने को जी चाहता है
ले आई, रफ़्तार -ए-जिंदगी दूर, बहुत दूर;
घर लौट, अपने आंगन के झूले में, सो जाने को जी चाहता है.

hawaon ke udtey pankh lga chupke se;
anjaane jahaan main, kahin udd jane ko jii chahata hai.
kabhi kali-berukhi eiton ki chadaar oddker;
zameene-khaak main, kahin khoo jaan ko jii chahata hai.
yun to kaat rhi shaan-e-jindagi maaje main;
battiyan bhuja, darvaja baand ker, rone ko ji chahata hai.
daftar main jayaz-najayaz kaam hai kai idher-udher;
table per paerr rakh, kursi per so jane ko jii chahta hai.
aise to pari nhi kambhakhat nashe ki adaat kabi;
nashili bhaang pii, dhaatura phookne ko ji chahata hai.
le aayi raftar-e-jindagi, kahin door, bahut door;
ghar laut, aapne aangan ke jhoole main, soo jane ko ji chahta hai.